* Numaish ke saamaan saare ke saare bahum aur kya hai’n *
Ghazal numa
Numaish ke saamaan saare ke saare bahum aur kya hai’n
Yeh naz–o-neam aur kya hai’n
Manaazir ke dushman haqaik se aagaah kam aur kya hai’n
Yehi be bharam aur kya hai’n
Jawano’n ke mukhbir hai’n yeh maulwi muhtarm aur kya hai’n
Barhe zi hasham aur kya hai’n
Khudao’n ki ya na khudao’n kee koi kamee hee nahi’n hai
Yeh ahle ajam aur kya hai’n
Ada kariya’n hai’n tamashe hai’n ya phir galukariya’n hai’n
Yeh ahle qalam aur kya hai’n
|