donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ravinder Kumar Soni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kho gayaa thaa raahbar mere baghair *
Gahazal

Kho gayaa thaa raahbar mere baghair
Kis ko thii itanii khabar mere baghair

Kushtaa e zulmat thaa main hii dahar men
Kyuun huii yaa rab sahar mere baghair

Mere hote the yahii barg o shajar
Hain vahii shams o qamar mere baghair

Ab kahaan woh lutf e toolaanii e shab
Daastaan hai mukhtasar mere baghair

Teraa naalaa bulbul e shoridaa sar
Kis tarah kartaa asar mere baghair

Jo rahaa kartaa thaa mere saath saath
Phir rahaa hai dar ba dar mere baghair

Viiraa viiraan galiyaan ujade ujade ghar
Suune suune hain nagar mere baghair

Saaz hain toote hue naghme udaas
Chup hain ab deewaar o dar mere baghair

Rahrawaan e waqt se poochh ae ‘Ravi’
Jaa rahe hain ab kidhar mere baghair

*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 352