donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ravinder Kumar Soni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sukuun se aashanaa ab tak dil e insaan nahii hai *
Ghazal

Sukuun se aashanaa ab tak dil e insaan nahii hai
Kahoon kyuun kar ki ahsaas e gham e dauraan nahii hai

Bharosaa mujh ko apne dast o paa pe hai azal se
Woh mushkil kaun sii hai merii jo aasaan nahii hai

Rabaab e gul se naghme phoot nikale hain magar ab
Parastaar e riihaaii qaidii e zindaan nahii hai

Khayaal e saahil e maqsuud hai dil men abhii to
Mirii kashtii sipurd e mauj ae toofaan nahii hai

Huun us se duur to bhii hai wafaa kaa paas dil men
Use main bhool jaauun ye miraa iimaan nahii hai

Kahaan tak aankh se aansuu bahaauun main lahoo ke
Kaho ik baar phir is dard kaa darmaan nahii hai

‘Ravi’ is zindagii men ho mujhe bhii chaiin haasil
Siwaa is ke mire dil men koii armaan nahii hai
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 317