donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Raza Abbas Raza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apne andar Gham chhupaa ke dekh lo *
Apne andar Gham chhupaa ke dekh lo,
Khud ko yuuN bhii aazmaa ke dekh lo,
duur ho jaayegii din bhar ki thakan,
merii jaanib muskuraa ke dekh lo,
phir ubhar aayeNge yaadoN ke nuquush,
jis tarah chaaho miTaa ke dekh lo,
(nuquush : prints)
bhuul jaayeNge tumhiiN sab aaiine,
merii aaNkhoN meN samaa ke dekh lo,
roshnii baaqii rahegii yaad kii,
tum chiraaGhoN ko bujhaa ke dekh lo,
zaaiqaa kaisaa hai ye izhaar kaa,
apne hoNToN par sajaa ke dekh lo,
(zaaiqaa : taste)
“harf” meN hai jis tarah nuqtaa “Raza”,
yuuN mujhe apnaa banaa ke dekh lo.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342