donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Romaan Rizwi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BAGHAOR JISNE NA DEKHA KABHI KISI KI TARAF *
BAGHAOR JISNE NA DEKHA KABHI KISI KI TARAF
UTHA RAHE'N HAIN SABHI UNGLIYA'N USI KI TARAF
SUNA HAI JAB SE K WO AA RAHE HAIN MILNE KO
GHARI GHARI ME NAZAR JATI HAI GHARI KI TARAF
TUMHARE CHAND SE CHEHRE KO DEKHA HAI JAB SE
NAZAR UTHA K NA DEKHA KABHI KISI KI TARAF
YE AHD E NAO BHI HAI KAISA K PHOOL K RAHTE
BARHA RAHE'N HAIN SABHI HATH AB KALI KI TARAF
YE KAISI AA GAI HAEVANYAT AB INSAA'N ME
K JANVAR BHI NAHI TAKTE AADMI KI TARAF
HUE HAIN GAHRE SAMANDAR BHI SHARM SE PAANI
NAZAR JO KI,KISI PYASE KI TASHNAGI KI TARAF.

 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 303