donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saadat Yar Khan Rangin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hamdamo kya mujh ko tum un se mila sakte nahi.n *

hamdamo kya mujh ko tum un se mila sakte nahi.n
mai.n to ja sakta hu.n wa.n gar yan wo aa sakte nahi.n
sharm hai un ko bahut har-dam chimaTne se mere
wo taDapte hai.n wa-lekin ghul macha sakte nahi.n
hath mei.n hai hath aur koi nahi.n hai aas-pas
wo to hai.n qabu mei.n par hum ji chala sakte hai.n
chaudhwi.n hai raat aur chhiTki hui hai chandni
hum kamand ab un koThe par laga sakte nahi.n
kyu.n miya.n-'rangin bhala ab is zami.n mei.n soch se
kya ghazal tum hasb-e-haal apni suna sakte nahi.n
bas mai.n hain wo ghair ke hum ko bula sakte nahi.n
aur hum us ja kisi surat se ja sakte nahi.n
hum ko un se un ko hum se jitni ulfat hai use
wo ghaTa sakte hain lekin hum ghaTa sakte nahi.n
ghair se hum ko dilate hai.n wo lakho.n galiya.n
pichhli baate.n yaad hum un ko dila sakte nahi.n
but bane hai.n yu.n to hum baate.n banate hai.n hazar
baat lekin wasl ki aslan bata sakte nahi.n

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 225