donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saami Aejaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tamasha had se bahar ho gaya hai, *
Tamasha had se bahar ho gaya hai,
Yaha'n har shakhs PatTher ho gaya hai,

Abhi tum ishq se ho faasle par,
Magar! Haa'n pyar behtar ho gaya hai,

Kisi ka dil dukhaya hai yaqinan,
Shahanshah bhii gada gar ho gaya hai,

Janoo'n kare zaya'n hargiz nahi hai,
Kei k sahraa samundar ho gaya hai,

Woh ik zarra baraber dared hasrat,
Mere qad ke barabar ho gaya hai,

Chalo mana! Ke tum naadim bahut ho,
Magar yeh dil to patTher ho gaya hai,

Tumhara dard thaa,khanjar nahii thaa,
Hamare dil mei'n aaker ho gaya hai,

Who jiska dil hazaro'n baar Toota,
Suna hai ab qalander ho gaya hai,

Dekhayee de raha hai chaar janib,
Tumhara aks az ber ho gaya hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 412