|
* Bahaar rut meiN, tum hi bataao, k qaid-e-Khushbu ko kya karein ham *
Bahaar rut meiN, tum hi bataao, k qaid-e-Khushbu ko kya karein ham
Udhar ye israar ho raha hai, k lab siyaiN, chup raha karein ham
Ajab nahiN jo tamaam khilqat, hamaari wehshat pe naam rakh de
HaiN aisey naadaaN, har aik se apney dil ki baataiN kiya kareiN ham
Abhi se kyoN tairi aaNkh nam hai, abhi to tamheed daastaaN thi
Nigaar-e-shab! aur shehr dil ka beyaaan kya ma'ajra kareiN ham
Mahak Saba ki bataa rahi hai, k phool gulshan meiN khil gayey haiN
Ab aisey mausam meiN aisi rut meiN bas un ka rasta taka kareiN ham |
|