donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sabeeha Saba
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek samundar ko bhi pyaasa daikha *
Ek samundar ko bhi pyaasa daikha
Chashm-e-hairaaN ne ye kya kya daikha

Jab koi Khwaab sunehra daikha
Subha-dam aur hi naqsha daikha

Aap ki chashm-e-enaayat daikhi
Aur phir raNg-e-zamaana daikha

Phir wahi chaahney waala daikha
Ya khuli aaNkh ne sapna daikha

Tairey ek waada-e-farda ki qasam
Zindagi bhar tera rasta daikha

Dar badar Khaak u.Daaney waalo
Ishq karnay ka nateeja daikha!!!

Aik do zaKhm to yaadoN k nahiN
Aik gulzaar mahekta daikha

Ai Saba apnay elaawa tu nay
Is chaman meiN kisey tanha daikha
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355