* Ghalib aik muhit aazam aur kinara main *
Sabir Aafaqi
P.O.BOX NO.9,
Muzaffarabad(A.K.) 13100
(Pakistan)
Ghalib aik muhit aazam aur kinara main
Woh ik khalis shahad ka darya , qatra khara main
Woh tanha maidan me utra "hal min nasir " kah kar
Main nusrat ko tanha bhaga aur pukara "main"
Duniya sehra duniya gulshan apni apni sonch
Aik nazzara aap ko dekhayen aik nazzara main
Meri ankhen dekho logo noor mile ga tumko
Nun aankhon se dekh ke aaya shahar bukhara main
Mur mur kar barlan ki galiya'n main hastrat se dekhoo'n
Un galyon me phir aaunga kab dobara main ?
Dharti ke qutbin ko sidhha karna hai ab "Sabir"
Aik kinara aap pakarh le'n aik kinara main
|