* woh ek khalis shahad ka darya , qatra khara main *
Sabir Aafaqi
P.O.BOX NO.9,
Muzaffarabad(A.K.) 13100
(Pakistan)
ghalib aik muhit aazam aur kinara main
woh ek khalis shahad ka darya , qatra khara main
woh tanha maidan me utra "hal min nasir " kahkar
main nusrat ko tanha bhaga aur pukara "main"
dunya sehra dunya gulshan apni apni sonch
aik nazzara aap ko dekhaen aik nazzara main
mere ankhen dekho logo noor mele ga tumko
un aankhon se dekh ke aaya shahar bukhara main
mur mur kar barlan ki galyan main hastrat se dekhon
un galyon me phir aaunga kab dobara main ?
dharti ke qutbin ko sidhha karna hai ab sabir
aik kinara aap pkar len aik kinara main
|