donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sabir Azimabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zeest ki uljhan me mat uljha mujhe *

Zeest ki uljhan me mat uljha mujhe
Ye moamma hai zara samjha mujhe
Main qabile me bahut badnam hoon
Koee bhi kahta nahi achcha mujhe
Apni chhab dekhla ke usne umr bhar
Zindagi ki qaid me rakha mujhe
Kahte kahte ruk gaee uski zaban
Woh to khood mujrim tha kiya kahta mujhe
Mausame hasti badal jane ke bad
Lag raha hai ye jahan dhoka mujhe
Ab kisi se mil ke "Sabir" kiya karoo'n
Kar diya hai waqt ne tanha mujhe

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395