|
* Ek brahman ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai *
Ek brahman ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai ,
zulm kii raat bahut jald Talegii ab to,
aag chuulho.n me.n har ik roz jalegii ab to,
bhuuk ke maare ko_ii bachchaa nahii.n royegaa ,
chain kii nii.nd har ik shaKhs yahaa.N soyegaa,
aa.Ndhii nafarat kii chalegii na kahii.n ab ke baras ,
pyaar kii fasal ugaa_egii zamii.n ab ke baras,
hai yahii.n ab na ko_ii shor-sharaabaa hogaa,
zulm hogaa na kahii.n Khuun-kharaabaa hogaa,
os aur dhuup ke sadame.n na sahegaa ko_ii,
ab mere desh me.n beghar na rahegaa ko_ii,
naye vaado.n kaa jo Daalaa hai vo jaal achchhaa hai,
rahanumaao.n ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai ,
dil ke Khush rakhane ko Ghalib ye Khayaal achchhaa hai.
|
|