* Lagta tha apni shakl se mardum shanas woh *
Sadiq
A-G-1/47-E,vikaspuri
New Delhi -110018
Lagta tha apni shakl se mardum shanas woh
Main uske pas baith gaya mere pas woh
Muddat huee kisi ko na aaya kahin nazar
Sunte hain kar chuka kahin agyat waas woh
Jab se suna hai deyota aaenge mere ghar
Mandla raha hai tab se yahin aaspas woh
Baital ke sawal ka de ga agar jawab
Kar de ga phir se kata huaa phir kapas woh
Kiya apna koee dard use yad aagaya
Afsana sun ke mera huaa keyo'n udas woh
|