|
* Tum nahii.n Gham nahii.n sharaab nahii.n *
Tum nahii.n Gham nahii.n sharaab nahii.n,
aisii tanhaaii kaa javaab nahii.n,
gahe gahe ise pa.Daa kiije,
dil se bahatar koii kitaab nahii.n ,
jaane kis kis kii maut aaii hai,
aaj ruKh pe koii naqaab nahii.n ,
vo karam u.ngaliyo.n pe gi.nte hai.n,
zulm kaa jinake kuchh hisaab nahii.n.
|
|