* Mazloom to yahan par zinhar bolte hain *
Mazloom to yahan par zinhar bolte hain
Lekin sitagaron ke hathiyar bolte hain
Guzra hai khairiyat se din aaj ka to lekin
Kal kya hai hone wala akhbar bolte hain
Yeh muasam zehar akudah ajab mazar dikhata hai
Jo pehle hans ke milta tha vahi tevar dikhata hai
Kahan se agaya yeh huasla mere padosi mein
Kabhi bhala, kabhi barchhi, kabhi khanjar dikhata hai
Andheri rat pe yeh tasara to theek nahin
Iski aut mein roshan savera hota hai
Agarcha roshni deta hai voh zamane ko
Magar chiragh ke niche andhera hota hai
Zindagi mein karab ke manhoos saye rah gaye
Khuvab bhi apne sada bante bigadte rah gaye
Apne hisse mein vahi fut paath ka bistar raha
Kaghazon mein zabt apne ghar ke naqshe rah gaye
Har eik lafz ko lafz hunar banati hain
Haqeer zarre ko mashal banati hain
Qamar jamali ka aijaz fun yahi hai saeed
Voh hurf hurf ko jaadu ashar banati hai |