donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saghar Khaiyami
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye kuuche ye niilaam ghar dil_kashii ke , *
Ye kuuche ye niilaam ghar dil_kashii ke ,
ye luTate hue kaarawaa.N zindagii ke ,
kahaa.N hai.n, kahaa.N hai.n muhaafiz Khudii ke,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.N hai.n,
ye pur_pe.nch galiyaa.N, ye be_Khaab baazaar ,
ye gumanaam raahii, ye sikko.n kii jha.nkaar ,
ye ismat ke saude, ye saudo.n pe takaraar,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n,
ta’affun se pur niim_roshan ye galiyaa.N ,
ye masalii huii adh_khilii zard kaliyaa.N ,
ye bikatii huii khokalii rang_raliyaa.N,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n,
wo ujale dariicho.n me.n paayal kii chhan-chhan ,
tanaffus kii ulajhan pe tabale kii dhan-dhan ,
ye be_ruuh kamaro.n me.n khaa.Nsii kii dhan-dhan,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n,
ye guu.Nje hue qah-qahe raasto.n par ,
ye chaaro.n taraf bhii.D sii khi.Dakiyo.n par ,
ye aawaaze.n khii.nchate hue aa.Nchalo.n par,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n?
ye phuulo.n ke gajare, ye piiko.n ke chhii.nTe ,
ye be_baak nazare.n, ye gustaaKh fiqare ,
ye dhalake badan aur ye madaquuq chehare,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n,
ye bhuukii nigaahe.n hasiino.n kii jaanib ,
ye ba.Date hue haath siino.n kii jaanib ,
lapakate hue paa.Nv ziino.n kii jaanib,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n,
yahaa.n piir bhii aa chuke hai.n jawaa.N bhii ,
tanuu_mand beTe bhii, abbaa miyaa.N bhii ,
ye biiwii bhii hai aur bahan bhii hai, maa.N bhii,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n,
madad chaahatii hai ye hawwaa kii beTii ,
yashodaa kii ham_jins raadhaa kii beTii ,
payambar kii ummat zulaiKhaa kii beTii,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n,
zaraa mulk ke raah_baro.n ko bulaao ,
ye kuuche ye galiyaa.N ye ma.nzar dikhaao ,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq ko laao,
sanaa_Khwaan-e-taqdiis-e-mashriq kahaa.n hai.n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342