|
* Hairat se tak raha hai jaha'n e wafa mujhe, *
Hairat se tak raha hai jaha'n e wafa mujhe,
Tum ne bana diya hai mohabbat may kya mujhe,
Har manzil e hayat se ghum kar gaya mujhe,
Murh murh ke rah may wo tera dekhna mujhe,
Kaif e Khudi ne mauj ko kashti bana diya,
Hosh e Khuda hai ab na Gham e nakhuda mujhe,
Saqi bane huye hai'n wo `Saghar` shab e wisal ,
Is waqt koi meri kasam dekhta mujhe.
|
|