* Yu'n na rah rah kar hamay tarasaiye *
Yu'n na rah rah kar hamay tarasaiye
Aiye, a jaiye, a jaiye
Phir wahi danista Thokar khaiye
Phir meri agosh may gir jaiye
Meri duniya muntazir hai ap ki
Apani duniya chor kar a jaiye
Ye hawa `Sagar` ye halki chandani
Ji may ata hai yahin mar jaiye |