donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saghar Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koi TiTli hai na jugnu aah shaame bekasi *
Koi TiTli hai na jugnu aah shaame bekasi,
Aaj dil me'n nastaran ki shaakh phir chubhne lagi,
Too ne kya Torha gulistaa'n se wafa ka aik phool,
Har kali hai ghair mahram har shagufa ajnabi,
Be irada chal raha hoo'n zindagi ki raah per,
Mere maslak me'n nahi hai karobare rahbari,
Jisme'n kuchh insaan ki tauqeer ke ahkaam they,
woh shariyat ma'bado'n ke zere saya so gayi,
Aa gayi'n baazar mei'n bikne Khoda ki azmate'n,
Jee uthi hai khwahishe'n aur mar gaya hai aadmi,
Mai'n shuyaayo'n me'n pighal jaayu'n meri fitrat nahi,
Woh sitara hoo'n ke jisko dhoondti hai raushni,
Aur kitni door hai' "Saghar" adam ki manzile'n,
Zindagi se poochh loonga raaste me'n gar mili.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 512