* Ye fasaloon ki dooriyaan mita\'een gay ik din. *
Ye fasaloon ki dooriyaan mita\'een gay ik din.
Koocha e Jaana ko apnay saja\'een gay ik din.
Rahi e Muhabbat tu kabhi gumnaam na howa.
Is rah main naam ham bhi kama\'een gay ik din.
Teray teer-e-neem kash ka charcha bohat hay jaana.
Ye ghao apnay seenay pe saja\'een gay ik din.
Us din k liye kitnay sapnay hain sajaye.
In sapnoon ko ta\'beer dikha\'een gay ik din.
Kehtay hain k Qais say nayaab hain ab loog.
Apna junoon ham bhi tu aazma\'een gay ik din.
Ye mata-e-jaan hi tamam daulat hay apni.
Ye sultanat bhi tujh pe luta\'een gay ik din.
Ik din dikha hi dain gay jazba-e-junoon apna.
Deewana tujh ko apna bana ja\'een gay ik din.
Malboos khush numa jachtay hain tujh pe khoob.
Khil\'ata-e-aroosa tujh ko pehna\'een gay ik din.
Jo daastan-e-ishq raqam kar gay farhaad.
Tareekh muhabbat ki wo duhra\'een gay ik din.
Tumhi Jan-e-jaana tumhi sahiba ho apni.
Waday tamam apnay nibha\'een gay ik din.
Ab tak tu SAHIB kehlatay hain ham loog.
Deewan-o-majnoon bhi kehla\'een gay ik din.
|