donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tang a chuke hai'n kash ma kash e zindagi se ham, *
Tang a chuke hai'n kash ma kash e zindagi se ham, 
Thukra na de'n jaha'n ko kahi'n bedili se ham,

Maayusi e ma`al e mohabbat na puchhiye, 
apano'n se pesh aaye hai'n beganagi se ham,

Lo aaj hamne torh diya rishta e ummid, 
lo ab kabhi gila na karenge kisi se ham,

Ubharenge ek baar abhi dil ke wal wale, 
go dab gaye hai'n bar e Gham e zindagi se ham,

Gar zindagi may mil gaye phir ittafaq se, 
puchhaenge apna haal teri bebasi se ham,

Allah re fareb e masahiyat ke aj tak, 
duniya ke zulm sahte rahe Khamoshi se ham,

Ham Gham zada hai'n laye kaha'n se Khushi ke geet, 
denge wahi jo payenge is zindagi se ham.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 532