donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Taj tere liye ik mazhar e ulfat hi sahi, *
Taj tere liye ik mazhar e ulfat hi sahi, 
tum ko is waadi e rangin se aqidat hi sahi,

Mere mahbub kahi'n aur mila kar mujh se!

Bazm e shahi may Gharibo'n ka guzar kya mani, 
sabt jis raah pe ho'n satawat e shahi ke nisha'n, 
us pe ulfat bhari ruho'n ka safar kya mani,

Meri mahbub paas e parda e tashir e wafa ,
tu ne satawat ke nishano'n ko to dekha hota, 
murda shaho'n ke maqabir se baha le jaane wali, 
apne tarik makano'n ko to dekha hota,

Anaginat logo'n ne duniya may muhbbat ki hai, 
kaun kahta hai ki sadiq na the jazbe un ke, 
lekin un ke liye tashir ka sama'n nahi, 
kyu'n ke wo log bhi apni hi tarah mufalis the,

Ye imarat o maqabir ye fasile'n, ye hisar, 
mutal qulhukm shahanshaho'n ki azmat ke sutu'n, 
daman e dahar pe us rang ki gulkari hai, 
jis may shamil hai tere aur mere ajdad ka Khu'n,

Meri mah'bub! Unhen bhi to muhbbat hogi, 
jinki sannai ne bakhshi hai ise shakl e jamil, 
un ke pyaro'n ke maqabir rahe benam o namud, 
aaj tak un pe jalai na kisi ne qandil,

Ye chaman zar ye jamuna ka kinara ye mahal, 
ye mun aqqash dar o diwar, ye maharab ye taq, 
ik shahanshah ne daulat ka sahara le kar,
ham gharibo'n ki mohabbat ka urhaya hai mazaq.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 1102