donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sonchta hu'n ki muhabbat se kinara kar lu'n, *
Sonchta hu'n ki muhabbat se kinara kar lu'n, 
dil ko begana e taraghib o tamanna kar lu'n,

Sonchta hu'n ki muhabbat hai junun e ruswa, 
chand bekar se behuda Khayalo'n ka hujum, 
ek aazad ko paband banane ki hawas, 
ek begane ko apnane ki sai e muhim,

Sonchta hu'n ki muhabbat hai surur e masti, 
iski tanwir may raushan hai faza e hasti,

Sonchta hu'n ki muhabbat hai bashar ki fitarat, 
iska mit jana, mita dena bahut mushkil hai, 
sonchta hu'n ki muhabbat se hai tabinda hayat, 
ab ye shama bujha dena bahut mushkil hai,

Sochata hun ki muhabbat pe kari sharten hain, 
ik tamaddun may masarrat pe bari shart.en hain,

Sochata hun ki muhabbat hai ik afasurda si lash ,
chadar e izzat o namus may kafanai hui, 
daur e sarmaya ki raundi hui rusawa hasti, 
daragah e mazahab o ikhlaq se Thukarai hui,

Sochata hun ki bashar aur muhabbat ka junun, 
aisi bosida tamaddun se hai ik kar e zabun,

Sochata hun ki muhabbat na bachegi zinda.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 428