|
* Saza ka hal sunaye jaza ki bat kare'n, *
Saza ka hal sunaye jaza ki bat kare'n,
Khuda mila ho jinhe'n wo khuda ki bat kare'n,
Unhe'n pata bhi chale'n aur wo khafa bhi na ho,
Is ehtiyat se kya maza ki baat kare'n,
Hamare ahad ki tahzib mayqaba hi nahi,
Agar qaba ho to band e qaba ki baat kare'n,
Har ek daur ka mazahab naya khuda lata,
Kare'n to ham bhi magar kis khuda ki baat kare'n,
Wafa shiyar kayi hai'n koi hasi'n bhi to ho,
Chalo phir aaj usi bewafa ki bat kare'n. |
|