donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Pahalu e shaah may ye dukhtar e jamhur ki qabar, *
Pahalu e shaah may ye dukhtar e jamhur ki qabar,
Kitne ghum gushtaa fasaano'n kaa pataa deti hai,
Kitne Khurez haqaayaq se uthaati hai naqaab,
Kitni kuchali hui jaano'n kaa pataa deti hai,
Kaise maghrur shahanshaaho'n ki taskin ke liye,
Saalhaa saal hasinaao'n ke baazaar lage,
Kaise bahaki hui nazaro'n ki taaish ke liye,
Surkh mahalo'n may jawaa'n jismo'n ke anbaar lage,
Sahami sahami si fizaao'n may ye wiraa'n marqad,
Itanaa Khaamosh hai fariyaad kunaa ho jaise,
Sard shaakho'n may hawaa chiikh rahi hai aise,
Ruh e taqdis o wafaa marsiyaa khwaa'n ho jaise.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372