|
* Mere sarkash tarane sun ke duniya ye samajhti hai, *
Mere sarkash tarane sun ke duniya ye samajhti hai,
ki shayad mere dil ko ishq ke naghmo'n se nafrat hai,
Mujhe hangama e jang o jadal may kaif milta hai,
meri fitarat ko Khunrezi ke afasano'n se ragbat hai,
Meri duniya may kuch waaqe’aat nahi hai raqs o naghmay ki,
mera mahbub naghma shor e ahang e baghawat hai,
Magar ai kash! Dekhe'n wo meri purasoz rato'n ko ,
mai'n jab taro'n pe nazare'n gaarh kar aasu'n bahata hu'n,
Tasawwur banke bhuli waradate'n yaad aati hai'n,
to soz o dard ki shiddat se paharo'n tilmilata hu'n,
Koi Khwabo'n may Khwabida umango'n ko jagati hai,
to apni zindagi ko maut ke pahalu may pata hu'n,
Mai'n shayar hu'n mujhe fitarat ke nazzaro'n se ulfat hai,
mera dil dushman e naghma sarai ho nahi sakta. |
|