donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tumhe'n udas sa pata hu'n mai'n kai din se, *
Tumhe'n udas sa pata hu'n mai'n kai din se, 
Na jane kaun se sadme utha rahi ho tum,, 
Wo shokhiya'n, wo tabassum, wo qahqahe na rahe 
Har ek chiiz ko hasrat se dekhti ho tum ,
Chhupa chhupa ke khamoshi may apni bechaini, 
Khud apne raaz ki tashir ban gai ho tum ,
Meri ummid agar mit gai to mitne do, 
Ummid kya hai bas ek pas o pesh hai kuch bhi nahi, 
Meri hayat ki ghamghiinio'n ka gham na karo, 
Gham hayat e gham yak nuqs hai kuch bhi nahi, 
Tum apne husn ki ranayio'n par raham karo, 
Wafa fareb tul hawas hai kuch bhi nahi. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 585