donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khuddaariyo'n ke Khuun ko arzaa.N na kar sake, *
Khuddaariyo'n ke Khuun ko arzaa.N na kar sake, 
ham apane jauharo'n ko numaayaa.N na kar sake,

hokar Kharaab-e-may tere Gham to bhulaa diye, 
lekin Gham-e-hayaat kaa darmaa.N na kar sake,

TuuTaa talism-e-ahad-e-mohabbat kuchh is tarah, 
phir aarazuu kii shamaa furezaa.N na kar sake,

har shay qariib aake kashish apnii kho ga_ii, 
vo bhii ilaaj-e-shauq-e-gurezaa.N na kar sake,

kis darjaa dil-shikan the mohabbat ke haadase, 
ham zindagii me'n phir ko_ii armaa.N na kar sake,

maayuusiiyo'n ne chhiin liye dil ke val-vale, 
vo bhii nishaat-e-ruuh kaa saamaa.N na kar sake.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374