donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hawas nasib nazar ko kahi'n qarar nahi, *
Hawas nasib nazar ko kahi'n qarar nahi, 
mai'n muntazir hu'n magar tera intazar nahi,

Hami'n se rang e gulista'n hami'n se rang e bahar, 
hami'n ko nazm e gulista'n pe ikhtiyar nahi,

Abhi na cher mohabbat ke geet ae mutarib, 
abhi hayat ka mahaul khushgawar nahi,

Tumhare ahd e wafa ko ahad mai'n kya samajhu'n, 
mujhe khud apni mohabbat ka aitbar nahi,

Na jane kitne gile is may muztarib hai nadim, 
wo ek dil jo kisi ka gila gusar nahi,

Gurez ka nahi qayal hayat se lekin ,
jo soz kahu'n to mujhe maut nagawar nahi,

Ye kis maqam pe pahuncha diya zamane ne, 
ki ab hayat pe tera bhi ikhtiyar nahi.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 416