donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai'n ne jo geet tere pyar ki Khatir likkhe, *
Mai'n ne jo geet tere pyar ki Khatir likkhe, 
aaj un gito'n ko bazar may le aaya hu'n,

Aaj dukan pe nilam uthega un ka, 
tune jin gito'n pe rakkhi thi muhabbat ki asas, 
aaj chandi ki tarazu may taulegi har chiz, 
mere afkar meri shayari mera ehsas,

Jo teri zaat se munasib the un gito'n ko, 
muflisi jins banane pe utar aai hai, 
bhook tere rukh e rangin ke fasanon ke iwaz, 
chand ashiya e zarurat ki tamannai hai,

Dekh is arsagah e mehanat o sarmaya may, 
mere naghmay bhi mere pas nahi rah sakate, 
tere jalwe kisi zaradar ki miras sahi, 
tere Khake bhi mere pas nahi rah sakate,

Aj un gito'n ko bazar may le aya hu'n, 
main ne jo git tere pyar ki Khatir likkhe.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 677