donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apne mazi ke tasawwur se hirasa hu'n mai'n, *
Apne mazi ke tasawwur se hirasa hu'n mai'n, 
apne guzre hue ayyam se nafrat hai mujhe, 
apni bekar tamannao'n pe sharminda hu'n mai'n ,
apni besud ummido'n pe nidamat hai mujhe,,

Mere mazi ko andhere may daba raha'ne do, 
mera mazi meri zillat ke siwa kuch bhi nahi, 
meri ummido'n ka hasil meri kawish ka sila, 
ek benam aziyat ke siwa kuchh bhi nahi,

Kitni bekar ummido'n ka sahara lekar, 
mai'n ne aiwan sajaye they kisi ki khatir, 
kitni be rabt tamannazo'n ke mabham khake, 
apne khwabo'n mei'n basaye the kisi ki khatir,

Mujhse ab meri mohabbat ke fasane na puchho, 
mujhko kahne do ke mai'n ne unhe'n chaha hi nahi, 
aur wo mast nigahe'n jo mujhe bhul gai'n, 
mai'n ne un mast nigaho'n ko saraha hi nahi,

Mujhko kahne do ki mai'n aaj bhi ji sakta hu'n, 
ishq naakam sahi zindagi naakam nahi ,
unko apnane ki khwahish unhe'n pane ki talab, 
shauq bekar sahi sai gham anjam nahi,

Wahi gesu wahi nazar wahi arid wahi jism, 
maihn jo chahuhn ki mujhe aur bhi mil sakte hai'n woh.  
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 750