|
* Dekha to tha yu'n hi kisi Ghafalat shi`ar ne, *
Dekha to tha yu'n hi kisi Ghafalat shi`ar ne,
diwana kar diya dil e be ikhtiyar ne,
Ae aarazu ke dhundle Khwabo'n jawab do,
phir kis ki yad aai thi mujh ko pukarne,
Tum ko Khabar nahi magar ik sada lauh ko,
barbad kar diya tere do din ke pyar ne,
Mai'n aur tum se tark e mohabbat ki aarzu,
diwana kar diya hai Gham e rozgar ne,
Ab ai dil e tabah tera kya Khayal hai,
ham to chale the kakul e geti sanwarane. |
|