donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dekha hai zindagi ko kuchh itna qarib se, *
Dekha hai zindagi ko kuchh itna qarib se,
Chehre tamam lagne lage hai'n ajib se,
Is rengati hayat ka kab tak uthaye'n bar,
Bimar ab ulajhne lage hai'n tabib se,
Har gham par hai majma e ushshaq muntazir,
Maqtal ki raah milti hai ku e habib se,
Is tarah zindagi ne diya hai hamara saath,
Jaise koi nibah raha ho raqib se,
Ai ruh e asar jag kaha'n so rahi hai tu,
Aawaz de rahe hai'n payambar salib se,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 407