donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ahal e dil aur bhi hai'n ahal e wafa aur bhi hai'n, *
Ahal e dil aur bhi hai'n ahal e wafa aur bhi hai'n,
Ek ham hi nahi duniya se khafa aur bhi hai'n,
Kya hua gar mere yaro'n ki zabane'n chup hai'n,
Mere shahid mere yaro'n ke siwa aur bhi hai'n,
Ham pe hi khatm nahi maslak e shoridasari,
Chak e dil aur bhi hai chak e qaba aur bhi hai'n,
Sar salamat hai to kya sang e malamat ki kami,
Jan baqi hai to paikan e qaza aur bhi hai'n,
Munsif e shahar ki wahadat pe na harf a jaye,
Log kahate hai'n ke arbab e jafa aur bhi hai'n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 429