donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ao ki koi Khwab bune'n kal ke waste, *
Ao ki koi Khwab bune'n kal ke waste,
Warna ye rat aaj ke sangin daur ki,
Das legi jan o dil ko kuch aise ki jan o dil,
Ta umr phir na koi hasi'n Khwab bun sake'n,
Go ham se bhagti rahi ye tez gam umr,
Khwabo'n ke aasre pe kati hai tamam umr,
Zulfo'n ke Khwab, hontho'n ke Khwab, aur badan ke Khwab,
Meraj e fan ke Khwab, kamal e sukhan ke Khwab,
Tahazib e zindagi ke, farogh e watan ke Khwab,
Zinda'n ke Khwab, kucha e dar o rasan ke Khwab,
Ye Khwab hi to apni jawani ke pas the,
Ye Khwab hi to apane amal ke asas the.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 519