donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai, *
Kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai,
ke zindagii terii zulfoN kii narm chaaNv meN,
guzarne paatii to shaadaab ho bhii saktii thii,
ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai,
terii nazar kii shuaaoN meN kho bhii saktii thii,
ajab na thaa ke maiN begaanaa-e-alam ho kar,
tere jamaal kii raanaaiiyoN meN kho rahataa,
teraa gudaaz badan terii niim-baaz aaNkheN,
inhiiN hasiin fasaanoN meN mahv ho rahtaa,
pukaartii mujhe jab talKhiyaaN zamaane kii,
tere laboN se halaavat ke ghuuNT pii letaa,
hayaat chiikhtii phirtii barhanaa-sar, aur mai.n,
ghanerii zulfoN ke saaye meN chhup ke jii letaa,
magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai,
ke tuu nahiiN, teraa Gham, terii justujuu bhii nahiiN,
guzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaise,
ise kisii ke sahaare kii aarzuu bhii nahiiN,
zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa chukaa huuN gale,
guzar rahaa huuN kuchh anjaanii raah-gaahoN se,
muhiib saaye merii simt baRhte aate haiN,
hayaat-o-maut ke pur-haul KhaarzaaroN se,
na ko’ii jaadaa-o-manzil na roshnii kaa suraaGh,
bhaTak rahii hai KhaalaaoN meN zindagii merii,
inhiiN KhalaaoN meN rah jaauuNgaa kabhii khokar,
maiN jaantaa huuN merii ham-nafas magar yuuN hii,
kabhii kabhii mere dil meN Khayaal aataa hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 357