donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aage bhi, jaane na tu *
aage bhi, jaane na tu
peeche bhi, jaane na tu
jo bhi hain, bas yahi ek pal hain

anjaane saayo ka, raaho mein dera hain
an-dekhi baaho ne, ham sabko ghera hain
ye pal ujaala hain, baaqi andhera hain

ye pal gawaana na, ye pal hi tera hain
jeene waale soch le, yahi waqt hai,
kar le puri aarzoo

is pal ke jalwo ne, mehfil sawaari hain
is pal ki garmi ne, dhadkan ubhaari hain
is pal ke hone se, duniya hamaari hain

ye pal jo dekho to, sadiyo pe bhaari hain
jeene waale soch le, yahi waqt hain
kar le puri aarzoo

is pal ke saaye mein, apna thikana hain
is pal ke aage hi, har shae fasaana hain
kal kisne dekha hain, kal kisne jaana hain

is pal se paayega, jo tujhko paana hain
jeene waale soch le, yahi waqt hain
kar le puri aarzoo
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 370