donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Ludhianvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MERE KHWABO'N KE JHAROKO'N KO SAJANE WALI, *
MERE KHWABO'N KE JHAROKO'N KO SAJANE WALI,
TERE KHWABO'N MEI'N KAHI'N MERA GUZAR HAI KE NAHI,
POOCHH KAR APNI NIGAHO'N SE BATADE MUJHKO,
MERI RAATO'N KI MUQADDER MEI'N SAHAR HAI KE NAHI,
CHAAR DIN KI YEH RAFAQAT JO RAFAQAT BHI NAHI'N,
UMR BHAR KE LIYE AAZAAR HUI JATI HAI,
ZINDAGI YU'N TO HAMESHA SE PARISHA'N SI THI,
AB TO HAR SAANS GIRA'N BAAR HUI JATI HAI,
MERI UJARHI HUI NEENDO'N KE SHABISTAA'N MEI'N,
TOO KISI KHWAB KE PEEKAR KI TARAH AAYII HAI,
KABHI APNI KABHI GHAIR NAZAR AATI HAI,
KABHI IKHLAAS KI MOORAT KABHI HAR JAYII HAI,
PYAAR PAR BAS TO NAHI MERA LEKIN PHIR BHI,
TOO BATADE TUJHE PYAAR KAROO'N YA NA KAROO'N,
TOO KISI AUR KE DAMAN KI KALI HAI LEKIN,
MERI RAATE'N TERI KHUSHBOO SE BASI RAHTI HAI'N,
TOO KAHI'N BHI HO,TERE PHOOL SE AARIZ KI QASAM,
TERI PALKE'N MERI AA'NKHO'N PE JHUKI RAHTI HAI'N,
TERE HATHO'N KI HARARAT TERE SAA'NSO'N KI MAHAK,
DHOONDTI RAHTI HAI'N TAKHAYYEL KI BAA'NHE TUJH KO,
SARD RAATO'N KI SULAGTI HUI TANHAAYII MEI'N,
TERA ILTAAF O KARAM AIK HAQIQAT HAI MAGAR,
YEH HAQIQAT BHI HAQIQAT MEI'N FASANA HI NA HO,
TERI MAANOOS NIGAHO'N KA YEH MOHTAAT PAYAM,
DIL KE KHOON KARNE KA IK AUR BAHANA HI NA HO.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 458