|
* Ye husn tera ye ishq mera, *
Ye husn tera ye ishq mera,
Rangin to hai badnam sahi,
Mujh par to kai ilzam lage,
Tujh par bhi koi ilzam sahi,
Is raat ki nikhari rangat ko ,
Kuch aur nikhar jane de zara,
Nazaron ko bahak jane de zara,
Zulfon ko bikhar jane de zara,
Kuch der ki hi taskin sahi,
Kuch der ka hi aram sahi,
Jazbat ki kaliyan chunana hai,
Aur pyar ka tohfa dena hai,
Logon ki nigahen kuch bhi kahen,
Logon se hamay kya lena hai,
Ye Khas ta`alluq apas ka. |
|