donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sahir Shevi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har gaam sar uthane lagi hai badi ki zaat *
Har gaam sar uthane lagi hai badi ki zaat
Na qabile yaqie'n hai bani aadmi ki zaat

Ham apna ghar jala ke karei'n door teergi
Deti hai pur fareb hame'n raushni ki zaat

Mere ik aik lamha ki rakhti hai jo khabar
Hogi mahatma ki tarah hi kisi ki zaat

Uksa rahi hai jo mujhe jeene ke waste
Aabad mere jism me'n hai zindagi ki zaat

Paani me'n rahte ho to magarmachch se bair keyo'n
Kante pe kiya pinup na sakegi kali ki zaat

Parmatma kaho ke use tum khoda kaho
Aa'nkho'n me'n raqs karti hai sahir usi ki zaat
			47, Sutton Garden, Sundon Parks,
			Luton Beds, LU3 3AF (U.K)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 400