donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sajid Hameed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AANKH AANKH JAB SAHRAA PHAILTA NAZAR AAYA *
AANKH AANKH JAB SAHRAA PHAILTA NAZAR AAYA,
ZAKHM ZAKHM KHWAABO'N KA SISILA NAZAR AAYA,
SABZ MAUSAMO'N KE THEY MUNTAZIR DARO DEEWAAR,
RAAT BHAR ANDHERAA BHI JAAGTA NAZAR AAYA,
PAHLE APNE ANDER JO DOOB KAR UBHARTA THAA,
AAJ SATAH CHHOO KAR HI SOCHTAA NAZAR AAYA,
WOH KE JIS KI AANKHO'N MEI'N WAHSHATO'N KA DERA HAI,
BE SADA JAZEERO'N KO DHOONDTAA NAZAR AAYA,
CHASHMO KHWAAB KO "SAJID" JISMO JAAN KAHTE HAI'N,
GHAUR SE JO DEKHA TO FAASLA NAZAR AAYA.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 316