* Rahu aur ketu hai'n woh *
Rahu aur ketu hai'n woh
Daftar ke babu hai'n woh
Ankush un par keya mana
Neta ke bazoo hai'n woh
Saqi tu hi baag sambhaal
Sham se be qabu hai'n woh
Aur qarib aao dekho
Tare nahi'n jugnu hai'n woh
Un ke sharap se keya darna
Kal yug ke sadhu hai'n woh
"Sajid" haath na ayenge
Takhliqi aahoo hai'n woh
123/2, Shashanripuram, Shemoga (Karnatak)
|