donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sajid Hameed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Barsar e bazm juN hi jalwa numayi hogi *
Barsar e bazm juN hi jalwa numayi hogi
Bandagi hogi meri teri khudaiyi hogi
Dard seemab sifat jism meiN phaila hoga
yaad sailab ki soorat umad aayi hogi
jis ne baNta hai mujhe bazm meiN sahba ki tarah
pyas us ne bhi mujhe pee ke bujhayi hogi
umr bhar sarf kiya ho ga tamanna ne lahoo
khastagi rooh meiN yuNhi to na aayi hogi
jab koyi manzar e shadab Khizan rang huva
fasl sannatoN ki AankhoN meiN samayi hogi
subh dam surkh mili dahr ko deewar e miza
raat bhar yaad teri khoon rulayi hogi
ab mulaqat ki meiN reet nibhaooNga magar
mujhko maloom hai phir rasm e judayi hogi
ji raha huN isi ummeed pa sajid ke mujhe
aik din qaid e tamanna se rihayi hogi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 380