donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sajid Hameed
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aek pal ko bhi ujala nahiN hone dega *
aek pal ko bhi ujala nahiN hone dega
shehr mera mujhe tanha nahiN hone dega
isliye khud se bhi khul kar meiN mila karta nahiN
wo mere meiN ko bhi mera nahiN hone dega
meiN ne dekha hai payambar sa, musaffa ek khwab
rooh ka dard jo maila nahiN hone dega
chahta hooN k ho meri koi duniya tujh si
mera saya magar aisa nahiN hone dega
ye mere daur ka alamiyya hai shayad sajid
jo hai qatra use darya nahiN hone dega
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 356