donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saleem Qausar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MaiN Khayaal huN kisii aur kaa mujhe sochtaa ko’ii aur hai *
MaiN Khayaal huN kisii aur kaa mujhe sochtaa ko’ii aur hai,
sar-e-aa’iinaa meraa aks hai pas-e-aa’iinaa ko’ii aur hai,
(sar-e-aa’iinaa : in front of the mirror; pas-e-aa’iinaa : behind the mirror)
maiN kisii ke dast-e-talab meN huuN to kisii ke harf-e-duaa meN huN,
maiN nasiib huN kisii aur kaa mujhe maaNgataa ko’ii aur hai,
(dast : hand; talab : desire; harf-e-duaa : words of prayers)
kabhii lauT aayeN to na puuchhnaa sirf dekhnaa baRe Ghaur se,
jinheN raaste meN Khabar hu’ii ki ye raastaa ko’ii aur hai,
ajab aitbaar-o-be-aitbaarii ke darmiyaaN hai zindagii,
maiN qariib huN kisii aur ke mujhe jaanataa ko’ii aur hai,
vahii munsifoN kii rivaayateN vahii faisaloN kii ibaarateN,
meraa jurm to ko’ii aur thaa par merii sazaa ko’ii aur hai,
terii roshnii merii Khaddo-Khaal se muKhtalif to nahiiN magar,
tuu qariib aa tujhe dekh luuN tuu vahii hai yaa ko’ii aur hai,
(Khaddo-Khaal : appearence)
jo merii riyaazat-e-niim-shab ko “Saleem” subh na mil sakii,
to phir is ke maanii to ye hu’e ke yahaaN Khudaa ko’ii aur hai.
(riyaazat-e-niim-shab : religious exercises at mid-night)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 403