donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saleem Qausar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* *** Sittam kee raat ko jab din bannana parrta hey.. *
*** Sittam kee raat ko jab din bannana parrta hey..
Chrraag-e-jaa'n sarr-e-maqtal jalaana parrta hey..

*** Utthhaana parrta hai palko'n sey ratt jaggo'n ka khumaar...
Phir uss khumaar sey khudd ko bachhaana parrta hey...

*** Kissi kee neend kissi sey baddalnee parrti hey...
Kissi ka khwaab kissi ko dikhaana parrta hae..

*** Kissi sey poochhna parrta hai apney gharr ka patta...
Kissi ko shehar ka naqsha dikhaana parrta hey..

*** Biggarr raha hai kuch aisa tawazun-e-hassti...
Kissi ka bojh kissi ko utthhaana parrta hey...

*** Koi kissi key ka'hey sey kabhi rukka hee nahie'n...
Wahaa'n rukka hae,jahaa'n aab-o-daana parrta hey...

*** Wo aik pall kee musaafatt pey tha magar mujh sey...
na jaaney kiss ney kaha tha zamaana parrta hey...

*** Ajeeb traah sey uss ney bannaaee hai dunnya...
Kahi'n kahi'n tou yahaa'n dill laggaana parrta hey...
***************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 417