donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarshar Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sehraa hii Ghaniimat hai jo ghar jaaoge logo *
Sehraa hii Ghaniimat hai jo ghar jaaoge logo,
vo aalam-e-vahshat hai ke mar jaaoge logo,
(aalam-e-vahshat : state of loneliness)
yaadoN ke ta’aqqub meN agar jaaoge logo,
merii hii tarah tum bhii bikhar jaaoge logo,
(ta’aqqub : to follow)
vo mauj-e-sabaa bhii ho to hoshiyaar hii rahnaa,
suukhe hu’e patte ho, bikhar jaaoge logo,
(sabaa : breeze)
is Khaak pe mausam to guzarte hii rahe haiN,
mausam hii to ho, tum bhii guzar jaaoge logo
ujRe haiN ka’ii shah’r to ye shah’r basaa hai,
ye shah’r bhii chhoRaa to kidhar jaaoge logo,
haalaat ne shahroN pe bahut zulm kiye haiN,
aaiinaa agar dekhaa to Dar jaaoge logo
us par na qadam rakhnaa ke ye raah-e-vafaa hai,
“Sarshaar” nahiiN ho ke guzar jaaoge logo.
(raah-e-vafaa : path of fidelity)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 441