donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aa bhee jaa keh is dil kee shaam hone waalee hai *
aa bhee jaa keh is dil kee shaam hone waalee hai
din to Dhal gayaa jooN-tooN, raat ab sawaalee hai!

ik nigaah ke badle jaan bech Daalee hai
i'shq karne waaloN kee har adaa niraalee hai!

Harf-e-aarzoo lab par aaYe bhee to kyaa aaYe
naabakaar yeh dunyaa, kis kee sun,ne waalee hai?

koyee kyaa kare takiyah doosroN kee dunyaa par
ham ne Khud hee ik dunyaa Khwaab meN basaa lee hai!

aab aab aa,eenah, Khwaab Khwaab ummeedeN
roo-e-zindagaanee kaa naqsh bhee Khayaalee hai

fikr-o-fan kee dunyaa par waqt kaisaa aayaa hai
fan hai be-sutooN yaaro! fikr laa-ubaalee hai!

koyee kyaa kare shikwah waqt kee Khudaayee kaa
bazm-e-mai huyee weeraaN, aur jaam Khaalee hai

i'shq meN bataa "Sarwar"! kyaa milaa tujhe aaKhir
too ne yeh muSeebat kyoN apne sar lagaa lee hai?
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 346