donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jab naam tiraa soojhe, jab dhyaan tiraa aawe *
jab naam tiraa soojhe, jab dhyaan tiraa aawe
ik Gham tire majnooN kee zanjeer hilaa jaawe!

sab kee to sunooN lohoo yeh aaNkh nah Tapkaawe
keedhar se koyee aisaa dil aur jigar laawe!

jee ko nah lagaanaa tum, ik aan kisoo se bhee
sab Husn ke dhoke haiN, sab i'shq ke behlaawe

Khud apnaa nawishtah hai, kyaa dosh kisoo ko de
yeh dil paye-shunwaayee jaawe to kahaaN jaawe?

Tuk dekh miree jaanib be-Haal hooN Ghurbat meN
deewaar! so larzaaN hai, saayah! so hai katraawe!

dunyaa-e-danee meN kab hotaa hai koyee apnaa
behlaawe se behlaawe, dikhlaawe se dikhlaawe!

dekho to Zaraa us ke andaaz-e-Khudaawandee
Khud baat bigaaRe hai, Khud hee mujhe jhuTlaawe

Sad Haif tujhe "Sarwar" ab i'shq kee soojhee hai
har bandah-e-eemaaN jab Ka'be ke t^araf jaawe!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355